Friday 5 September 2014

Ain us waqt say zara pehlay

Ain us waqt say zara pehlay
Jab qiamat uternay wali thi


Dil ki dharti kay saray rastaun per
Aik udasi bikharnay wali thi


Saray imkan bhuj rahay thay jab
Mai nay her cheez us ko lota di


Tund jazbaat mai jo kabhi us nay apni hathailion say
Garam taaza lahu nikaala tha


Aur wo jo khat us nay meri chaahat mai
chuurion say likhay thay


Aur parween ki kaii nazmain
Mai nay her cheez us ko lota di


Aur bhi bohat si cheezain theen
Jin mai chand mehaktay huay tissue paper


Ek deewan mirza ghalib ka
Ek cchalla, ghari, qalam, khushboo


Un-silay suit ka naya kapra
Diary jis kay warq sada thay


Aur wo wishing cards jin ki tehreerain
udas kerti theen meray kamray ko


Mai nay her cheez us ko lota di
kitni baichaargi kay aalam may


us nay mujh say poocha keh
day sako gay kia mujh ko


umar-e-rafta kai wo haseen manzar
sab kay hotay huay bhi jo mai nay


kerb-e-tanhaai mai guzaaray thay
mujh say roothi hui meri sakhian


serdion ki taveel ter raatain
do bers ki tumam needain


beh gaii chashm-e-ghum say ek dua
sab teri bay-rukhi ki nazar hua


mera maazi mera shakista haal
kis terha day sako gay tum mujh ko


meri umar ka saulwan satarwan saaal
jumbsh-e-lab say aankh bharnay tak


us kay dil may jis qasr boojh tha
us nay wo bhi meray supurd kia


choorion say dehaktay hauton tak
us ki har cheez meray pass rahi


ek arsa guzr gia leikin
dil ka yazdaan ab bhi khaali hai


keisay sadion ka bhojh halka ho
meri aankhon may khushk saali hai.

No comments:

Post a Comment