Wednesday 3 September 2014

Ankh ki nadiya ashk ki nayya yad tumhari Chand ki rat

Ankh ki nadiya, ashk ki nayya, yad tumhari, Chand ki rat,
Jharna,jugnu, tim tim taary, kitni payari Chand ki rat,
Sookhy patty, sard hawaen, sooni sarken, men or tum,
Shah or malka hath hain thaamay,aur darbari, Chand ki rat,
Mera bachpan, Dor patangen, pakki neenden, kachy ghar,
Chupan chupai, cheena jhapti, Raj dulariChand ki rat,
Tash k patte, yar hamare, maili chadar, Gehri chaal,
Saans ka huqqa, behki baten,Ham pe taariChand ki rat…

No comments:

Post a Comment