be rukhi tum ne bhi ke, uzar-e-zamana kar ke
hum bhi mehfil sy uth aaey hain, bahana kar ke
kitni batei’N, k na kehna thi’N, woh keh bheji hain
ab pashemaan hain, qaasid ko ravana kar ke
jaanty hain, wo tunak khoo hy, so apna ahvaal
hum suna dety hain, aouro’N ka fasana kar ke
kya kahei’n, kya hy un aankho’N mein, k rakh deti hain
aik achy bhaly insaa’N ko deewana kar ke
koi veerana-e-hasti ke khabar kya lataa
khud bhi hum bhool gaey, dafn khazana kar ke
aankh masroof-e-nazara thi, to hum khush thy Faraz
uss ne kya zulm kia, dil mein thikana kar ke
No comments:
Post a Comment