Justajuu khoye huon kii umr bhar karte rahe
Chaand ke hamraah ham har shab safar karte rahe
Raaston kaa ilm thaa ham ko na simton kii Khabar
Shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karte rahe
Hum ne Khud se bhii chhupaayaa aur saare shahar se
Tere jaane kii Khabar divaar-o-dar karte rahe
Wo na aayegaa hamein maalum thaa us shaam bhii
Intazaar us ka magar kuchh soch kar karte rahe
Aaj aayaa hai hamein bhii un udaanon kaa Khayaal
Jin ko tere zaum mein be-baal-o-par karte rahe.
No comments:
Post a Comment