Sunday 7 September 2014

ek intizaar-e-mujassam ka naam Khamoshii

ye nuur kaisaa hai raaKh kaa saa rang pahne
barf kii laash hai laave kaa saa badan pahne
guuNgii chaahat hai rusvaa’ii kaa kafan pahne
har ek qatraa muqaddas hai maile aaNsuu kaa
ek hujuum-e-apaahij hai aab-e-kausar par
ye kaisaa shor hai jo be-aavaaz phailaa hai
rupahlii chaaNv meN – badnaamioN kaa Deraa hai
ye kaisii jannat hai jo chaunk-chaunk jaatii hai
ek intizaar-e-mujassam ka naam – Khamoshii
aur ehsaas-e-bekaraaN pe ye sarhad kaisii?
dar-o-diivaar kahaaN ruuh kii aavaargii ke
nuur kii vaadii talak lams kaa ek safar-e-taviil
har ek moR pe bas do hii naam milte haiN
maut kah lo – jo muhabbat nahiiN kahne paa’o

No comments:

Post a Comment