Thursday 4 September 2014

Gaye Dino Ka Suragh Le Kar. Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh

Gaye Dino Ka Suragh Le Kar.
Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh

Ajeeb Manoos Ajnabi Tha Mujhey
To Heran Kar Gaya Woh

Bas Aik Moti Si Chubh Dikha Kar.
Bas Aik Meethi Si Dhun Suna Kar

Sitara-e-Shaam Ban K Aaya.
Barang Khuwab-e-Sehar Gaya Woh

Khushi Ki Rut Ho K Gham K Mausam
Nazar usay Dhoondhti Hai Har Dam

Woh Boo-e-Gul Tha K Naghma-e-Jaan
Meray To Dil Mein Utar Gaya Woh

Na Ab Woh Yaadon Ka Charhta Darya.
Na Fursaton Ki Udas Barkha

Yun Hi Zara Si Kasak Hai Dil Mein.
Jo Zakhm Gehra Tha Bhar Gaya Woh

Kuch Ab Sambhalnay Lagi Hai Jaan Bhi.
Badal Chala Rang Aasmaan Bhi

Jo Raat Bhari Thi Tal Gayi Hai Jo
Din Kara Tha Guzar Gaya Woh

Shakista Pa Rah Mein Khara Hon.
Gaye Dino Ko Bula Raha Hon

Jo Qafla Mera Hum Safar Tha.
Misal-e-Gird Safar Gaya Woh

Woh MaiKaday Ko Jaganay Wala.
Woh Raat Ki Neend Ki Uranay Wala

Ye Aaj Kia Us K Jee Mein Aayi K
Sham Hotay Hi Ghar Gaya Woh

Woh Jis K Shanay Pe Hath Rakh
Kar Safar Kia Tu Ne Manzilon Ka

Teri Gali Se. Na Janay Kiyon. Aaj Sir 
Jhukaye Guzar Gaya Woh


Woh HijR Ki Raat Ka Sitara.
Woh Hum Nafas. Hum Sukhan Hamara
Sada Rahay Us Ka Naam Pyara.
Suna Hai Kal Raat Mar Gaya Woh
Woh Raat Ka BeNawa Musafir.
Woh Tera Shayar. Woh Tera NASIR

Teri Gali Tak To Hum Ne Dekha Tha.
Phir Na Janay Kidhar Gaya Woh

No comments:

Post a Comment