Friday 5 September 2014

go kay kehnay wali to

go kay kehnay wali to bay-hisaab baatain hain
aur meri jholi main bay-shumaar raatain hain


bay-shumaar raatain jo jaag kar guzaari hain
kis tarah meray dil say naag ban kay lipti hain


bay-shumaar raaton main an-gint woh lamhay hain
jin ki band mutthi mai sirf teri baatain hain


bay-shumaar raaton ki bay-hisaab lamhon ki
un-kahi sabhi baatain sirf tujh say kehni hain


na kaheen to woh baatain bay-hisaab lamhon ki
zindagi ki raahon ko khaar khaar kar dain gi


phir bhi yeh iraada hay zindagi ki raahon par
paaon khooN say rang jaaeyn bay-shumaar raaton ki


un-kahi sabhi baatain naag ban kay das jaaeyn
tum say kuch nahi kehna! tum say kuch nahi kehna!

No comments:

Post a Comment