Tuesday, 2 September 2014

haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hii gayii

haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii
shauq meN kuch nahiiN gayaa, shauq kii zindagii gayii
ek hii haadisaa to hai aur vo ye ke aaj tak
baat nahiiN kahii gayii, baat nahiiN sunii gayii
baad bhii tere jaan-e-jaaN dil meN rahaa ajab samaaN
yaad rahii terii yahaaN, phir terii yaad bhii gayii
uske badan ko dii namuud hamne suKhan meN aur phir
uske badan ke vaaste ek qabaa bhii sii gayii
uskii ummiid-e-naaz kaa hamse ye maan thaa ke aap
umr guzaar deejiye, umr guzaar dii gayii
uske visaal ke liye, apne kamaal ke liye
haalat-e-di,l ke thii Kharaab, aur Kharaab kii gayii
teraa firaaq jaan-e-jaaN aish thaa kyaa mere liye
yaanii tere firaaq meN Khuub sharaab pii gayii
uskii galii se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar
ek galii kii baat thii aur galii galii gayii

No comments:

Post a Comment