Wednesday 3 September 2014

Hansi khankti hui

hansi khankti hui 
aur bhuji bhuji khushiyaan 


hai dosti ki mahek se 
hai rachi hui ghariyaan 


maza anokha sa hai 
aate jaate lamhon main 


kitaabain godh mein pheli 
hai khoye baaton mein 


rafaqaton mein khazana 
jo hum ne paaya hai 


na dil pe bojh hai koi 
na ghum ka saaya hai 


humein ye ghunn hai ke khushboo 
ko hum to dekhain gay 


yaqeen hai ke sitaaron 
ko bharh ke choo lain gay 


khula ye raaz bicharna 
bhi tha bahaaron ko 


kisi ke haath nahin 
choo sake sitaaron ko 


kabhi dareechon mein shammain 
jo hum jalaatain hain 


toh geet lehjay khayalon 
main gungunate hain

No comments:

Post a Comment