Hawa thami thi zaroor lekin…
bari hi muddat guzar chuki thi…
who shaam bhi jaise sisak rahi thi …
k zard patton ko aandhion ne…
Ajeeb Qissa suna diya tha…
k jisko sun kar tamaam patte…
sisak rahe thay bilak rahe thay…
Najane kis “saanhey” k ghum mein…
shajar jarron se ukhar chuke thay…
bohat talasha tha hum ne tumko…
Har ek rasta…har ek waadi…
har ek parbat…har ek ghaati…
kahein se teri khabar nahi aayi…
To keh ke yeh hum ne dil ko taala…”
hawa thame gayi to dekh lein gay”…
hum us ke raston ko dhond lein gay
mager humari ye “khush khyali”…
Jo hum ko barbaad kar gayi thi…
hawa thami thi zaroor lakin…
“bari hi mudat guzar chuki thi”…
humare balon ke janglon mein
safayd chandni utar chuki thi
falk pe tare nahi rahe thay…
gulab Pyaray nahi rahe thay…
wo jin se basti thi dil ki basti…”
wo log saray nahi rahe thay…
magar ye “almiya” sab se baala tar tha…
“k Hum tumhare nahi rahe thay”…
“k tum humare nahi rahe thay”…
Hawa thami thi zaroor lekin…
bari hi muddat guzar chuki thi
No comments:
Post a Comment