Thursday, 25 September 2014

Humien Hai Hijr Mein Rehna

Fqat Jismon Kii Doorii Ko 
Judaii Maan-Nay Walay
Mohabbat Kar To Laitay Hain
Mohabbat Ki Inhien Raahon Pe Chalna Par Nahien Aata
Bohet Raahon Mein Kaantay Hain
Bohet Dushwaar Hai Chalna
Judaii Aik Chaara Hai
Juda Rehna Bhi Mushkil Hai
Mohabbat Kar To Laitay Hain Magar Iqraar Mushkil Hai 
Koii Dil Mein Jo Bas Jaye Bhulana Us Ko Mushkil Hai
Yeh Kya Samjhien 
K Jisam O Jaan Kii Doorii Jisay Hum Hijr Kehtay Hain
Yahii Bunyaad E Mohabbat Hai
Kisi Key Hijr Mein Rehna 
Kisi Ki Yaad Mein Khud Ko Bhula Daina Iabadat Hai
Judaii To Dillon Kii Dooriyon Ka Naam Hai Pyarey
Wo Gehrii Jheel Sii Aankhien 
Jo Har Pal Mujh Sey Kehtii Hain
Mohabbat Sey Mehaktii Un-Kahii Khamosh Sii Baatien
Inhii Kay Dam Sey Hain Khush-Rang Sey Manzar
Khush Numa Lamhay
Mehaktay Phool Say Mousam, Chamaktii Chaand Sii Raatien
Magar Yeh Dil Kii Baatien Hain
Inhien Dil Hii Smajhta Hai
Inhien Hum Log Kya Jaanien
K Hum To Hijr Kay Maray
Ajab Sii Aarzoo Lay Kar Usay Yon Dhoondnay Niklien
K Mil Jaaye To Honton Par Sawalon Sa Jawabon Sa
Koii Bhi Harz Na Aaye
K Us Ko Samnay Paa Kar
To Khud Ko Bhool Jatay Hain 
Na Dil Mein Dooriyon Ka Darr
Na Us Key Vasl Kii Khwaahish
K Hum To Hijr Kay Bey-Zaad E Safar 
Bey Maal O Zar Koii Musafir Hain
Humien Rehnay Do Tum Yonhii
Humien Hai Hijr Mein Rehna

No comments:

Post a Comment