Thursday, 25 September 2014

Humien Tum Sey Mohabbat Hai

Mohabbat Aag Hai To Phir 
Merii Rug Rug Mein Bharkii Hai
Meri Aankhien Hain Eik Shola Meri Saansien Hain Eik Agan
Alaao Teri Yaadon Ka Meray Dil Mein Kahien Roshan
Mujhey Ab Fikr Hai Koii Na Koii Gharz Hai Is Sey
K Teri Yaad Mein Shab Bhar
Wafa Ka Naam Ley Ley Kar
Khien Hum Khud Hii Jaltay Hain Ya Key Deep Jaltay Hain
Mohabbat Yaad Hai To Phir
Meray Dil Mein Hai Yon Raksaan
K Hum Ko Fikr Hai Koii Na Hii Hosh Hai Baaqi
Faqt Eik Yaad Hai Baaqii
Jo Dil Kii Baanjh Dhartii Par Ashkon Key Sang Baras Jaaye
To Phir Barsat Kii Ley Mein
Kahien Eik Phool Khilta Hai
Hum Us Phool Kii Khusboo Tumharay Naam Kartay Hain
Tumhari Yaad Mein Aksar Subah Se Shaam Kartay Hain
Mohabba Gar Samandar Hai
To Phir Meri Wafaaon Key
Sabhi Gohar O Sadaf Us Kii Gehraaiyon Mein Bastay Hain
K Meray Dil Mein Phaila Hai
Ajab Chahat Ka Yeh Sagar
Haan Jis Ki Aakhrii Had Sey
Sabhi Thehray Sey Jazbon Ko Yon Hum-Kinaar Karna Hai
Mila Kar Aankh Ka Dariya Is Behar E Kinaar Ko
Be-Kinaar Karna Hai
Mohabbat Dasht Hai Koii
To Phir Pairon Mein Ab Meray 
Nahi Hain Larzishien Baaqii
Meray Pairon Sey Uljhay Hain Jo Yeh Rastay Sab Hii
Mujhey Teray Shoq E Junoon Mein 
Eik Safar La-Haq Hai
K Jis Key Mor Par Aakhir Mujhey Bhatak Hii Jana Hai
Aur Yon Hum Aik Tasalsul Sey Teri Janib Rawaan 
Is Aik Musalsal Safarii Key Bus Ghubaar O Gard Hii Thehray
K Hum Sey Khaaksaar To Sehra Nord Hii Thehray
Mohabbat Gar Koii Khusboo
To Phir
Hum Sar Khushii Key Eik Numayaan Dairay Mein Hain 
K Jis Kay Gird Phailii Yeh Teray Lams Ki Mehkaar 
Meri Saanson Mein Shamil Hai 
Meray Dil Sey Nigaahon Tak Kaii Aarasta Rastay
Terii Hii Simat Aatay Hain
Suhaanay Geet Gaatay Hain 
Mujhey Teri Chahat Mein Yon In Ka Saath Hasil Hai
K Mujh Par Ab Nahi Zaahir 
Manzil Hai Meri “Khusboo”
K Khushboo Hii Manzil Hai
Mohabbat Khwaab Hai Koii
To Phir Khwabeeda Yeh Aankhien
Kaii Neendon Key Eik Gehray Hisaar E Sehar Mein Hain Qaid
Meri Palkon Pey Hain Baithay Kaii Hii Un Ginat Sapnay 
K Jin Kii Mazilon Key Ab Amen Tumhii To Ho Thehray
Humarii Khwaab Nagrii Key Makeen Tum Hi To Ho Thehray
So Is Ehad E Mohabbat Mein
Nahi Ab Dar Koii La-Haq
Muqaabil Aandhiyon Key 
In Roshan Sab Chiraghon Ki Ab Tabeer Ho Jaisey
Mohabbat Gar Fasana Hai To Phir
Inkaar Hai Hum Ko
K Meri Aankh Mein Roshan Tumharay Naam Key Jugnoo
Meray Dil Mein Drakhshaan Sab Tumhari Yaad Key Pehloo
Meri Sochon Pey Haavii Wo Tumharay Qurb Kii Khusboo
Meray Jazbon Kii Suchaii Wafaaon Key Rang O Lahoo
Koii Farzii Kahaanii Hai
Na Hii Afsana Koii
Mohabbat Aaiyena Soorat
K Jis Ein Sabt Hoo Ba Hoo Eik Ask E Haqeeqat Hai
Mohabbat To Mohabbat Hai
Kabhi Dasht O Samandar Hai Kabhi Aag Kii Soorat
Kabhii Yaadon Kii Khusboo Kabhi Khwaab Kii Soorat
Magar Ab Raas Hai Hum Ko
Mohabbat Key Sabhii Mousam Mohabbat Kii Har Eik Soorat
K Sb Mansoob Hain Tujh Sey
Mohabbat Key Haseen Rastay , Mohabbat Key Sabhi Dariya
Teri Jaanib Rawaan Hain Yon
K Chahat Key Sabhi Mousam
Kisi Eik Khaas Nuktay Par Khud Mein Gum Ho Jaaien
Sarapa E Tum Ho Jaaien
Mohabbat Tum Hii Thehray 
Mohabbat Gar Tum Hii Thehray 
To Phir Raahon Mein Haaiyl In 
Bichray Sab Hii Barson Kii Qasam Hai Meray Jazbon Ko 
K Wo Tajdee Kar Daalien Faqt Itna Hii Keh Daalien 
“K Kal Bhi Dast E Ulfat Ko Eik Matloob Tum Hii Thay 
Ab Bhi Meray Lafzon Sey Bas Maqsood Tum Hii Ho ” 
Kal Bhi Tum Sey Thii Poorii
Meri Be-Had Andhoori Zaat
Abhi Bhi Meray Jewan Kii
Bas Eik Hii Zaroorat Hai
Humien Iqraar Tha Kal Bhii
Humien Iqraar Hai Ab Bhii
Humien Tum Sey Mohabbat Thii
Humien Tum Sey Mohabbat Hai

No comments:

Post a Comment