Ik khayal ko kaghaz pay dafnaya tau,
Ik nazam nay ankh khool kay daykha,
Ik nazam nay ankh khool kay daykha,
Dhayron lafzon kay neechay woh dabi hui thee,
Sehmi se, ik madham se, awaz ki bhanp,
Urri kanon tak,
Kiun itnay lafzon may mujh ko chuntay ho?
Bahain kas de hain misron ki,
Tashbehon kay parday may her jumbish,
Teh kar day tay ho,
Itni eanta’in lagte hain kiya aik khayal kay madfan may
No comments:
Post a Comment