iss sy pehly, keh yeh dunia mujhy rusva kar dy
TU mery jism, meri rooh ko acha kar dy
yeh jo haalat hy meri, mein ne banai hy magar
jesa TU chaahta hy, ab mujhy veysa kar dy
mery har faisly mein TERI raza shaamil ho
jo TERA hukm ho, wo mera iraada kar dy
mujh ko wo ilm sikha, jis se ujaaly phelain
mujh ko wo ism parha, jo mujhy zinda kar dy
zaya hony sy bacha le, mery ma’abood mujhy
yeh na ho, waqt mujhy kheyl tamasha kar dy
No comments:
Post a Comment