Monday, 15 September 2014

JaaN lay kay talay shayad

Halqoom-e- sama’at maiN
Ug aay haiN ab kantay


Aawaz ka ek qatra
Lakin nahiN mil pata


Shabnam teray lehjay ki

Kis tan maiN utarti hai

Num teri hansi ka ab
Kis tan ko bhigoota hai


MaiN piyaas say baykal hooon
Or teray takalum ka!


Ek ghoont nahiN milta
Is qeht zada dil main


Ab kay na khulay shayad
Yay piyaas sama’at ki


JaaN lay kay talay shayad

No comments:

Post a Comment