Wednesday 3 September 2014

jab teri dhun mein jia karty thy

jab teri dhun mein jia karty thy 
hum bhi chup chaap phira karty thy

aankh mein payas hua karti thi 
dil mein toofaan utha karty thy

log aaty thy ghazal sun ne ko 
hum teri baat kia karty thy

such samajhty thy tery vaado’N ko 
raat din ghar mein raha karty thy

ghar ke deewar sajany k liay 
hum tera naam likha karty thy

wo bhi kya din thy, bhula kar tujh ko 
hum tujhy yaad kia karty thy

jab tery dard mein dil dukhta tha 
hum tery haq mein dua karty thy

apne jazbo’N ke kamando’N sy tujhy 
hum bhi taskheer kia karty thy

apne aansu bhi sitaro’N ke tarah 
tery honto’N pe saja karty thy

kal tujhy dekh k yaad aaya hy 
hum sukhan war bhi hua karty thy

No comments:

Post a Comment