Thursday, 11 September 2014

jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

isay yaad rakhna muhaal tha mujhay bholnay par malal tha
meri fikar ko jala mili woh tera hi hushn-e-khyaal tha

kabhi gardish-e-waqt nay aj tak meray hoslay ko na maat di
jo hawa kay rukh pay tha sofishaa’n woh mera hi husn-e-khyaal tha

ye har ek sham diya jala kay hawaoo’n say mera pochna
tum hi kuch bataoo kay kya huwa mera akhri jo sawal tha

faqt ek zarb-e-khafeef say mera abgeena bigar gya
jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

ram-e-ah’ho jasay gureezpa ho khud agehi kay saraab mai
wohi hijratoo’n ka fareeb tha wohi gham-e-dil ka ghazal tha

koi kya bataye kay zeest mai na kashish rahi na maza raha
jo guzar gya woh shabab tha jo bikhar gya woh jamal tha

No comments:

Post a Comment