kabhi aah lab pe machal gayi,
kabhi aashak aankh se dhal gaye
yeh tumhare gham ke charag hai,
kabhi bujh gaye kabhi jaal gaye
main khayal-o-khawab ki mahfilein,
na bakadr-e-shauk saja saka
tere ek nazar ke saath hi,
mere sab iraaday badal gaye
kabhi rang mein,kabhi roop mein,
kabhi chaun mein,kabhi dhoop mein
kahin aaftab-e-nazar hai woh,
kabhi mahatab mein dhal gaye
jo fana huye gham-e-ishq mein,
unhe zindagi ka na gham hua
jo na apni aag mein jal sake,
woh parayi aag mein jal gaye
tha unhe bhi meri traha junoon,
to phir un mein aur mujh mein phark kyun
main garift-e-gham se na bach saka,
woh hudud-e-gham se nikal gaye
No comments:
Post a Comment