Thursday, 11 September 2014

Kaha Dil ney zara thehro

Kaha Dil, ney zara tehro
key aise he koi sa’aat, hamarey dar per tehri thee
to hum ney bheer sey ik qaaafley ka roop dhara tha
chalo phir laut ker deikhein


woh khushbo sey bhara raasta
jo manzil ki nishane tha kahan khooya!
yeh jo uljhan bharey manzer

hamarey saath chaltey hein
kahan key hein … ?


woh kaisa mour tha jis per
hamare rehguzer key hashiyoon per dhund utri thee!
yeh jo charoon taraf pag-dandiyoon

ka jaal pheila hey
kahan bunyaad hey is ki?


woh jo nisf safer mein khawaab

key tukrey huey, is mein 
hamare kaj rawe kia thee, aadoo ka haath kitna tha?
safer ki ibtiidaa mein qatel they


jinhoon ney adel key tukrey kiye aur aashtee ka khoon bahaya tha!
aur un key baad jo aye woh kitney bad iradah they!!
mein jab is khooj mein nikla


key merat muhsinoon key khuwaab ka khushbo bhara raasta
jo manzil ki nishane tha kahan khooya!
to aisa tha key rastey mein,

mein jis bhe mour per tehra

wahan ik dard ka darya muqabil tha 
nidamet ke ghutan her ik qadem

per saath thee meray
so, mein is khuwaab key senay sey lag ker
deir tak rooya, bohat rooya.

No comments:

Post a Comment