Tuesday 2 September 2014

kahin chand rahon mein kho gaya

kahin chand rahon mein kho gaya,
khain chandni bhi bhatak gai

mein charagh wo bhi bujha howa,
meri raat kesey chamak gai….

meri dastaan ka urooj tha,
teri narm palkon ki chha’oon mein

merey sath tha tujhey jagna,
teri ankh kesey jhapak gai….

kabhi hum miley bhi to kia miley,
wohi dorian wohi fasley

na kabhi hamarey qadam barhey,
na kabhi tumhari jhijhak gai….

Tere Hath se Mere Hont tak
wohi intzar ki Piyas hai

Mere Naam ki jo Sharab thi
kahin raste mein Chhalak gai…

tujhey bhool janey ki koshishain,
kabhi kamyaab na ho sakin

teri yad shakh-e-gulab hey,
jo hawa chali to lachak gai….

No comments:

Post a Comment