Kyon Abar Se Jalta Hai K Sehra To Nahi Wo
Piyaasa B Kabhi Hoga K Dari’yaa To Nahi Wo
Aavaaz B Dena K Wo Shaayad Palat K Aa’ey
Mohtaat B Rehna K Shana’sa To Nahi Wo
Her Ik Se Shanaasa’ee Ka Ilzaam B Dena
Phir Sochtay Rehna B K Aisa To Nahi Wo
Her Ik Ravish Us K Lab-O-Rukh Se Ferozaa’n
Kiyon Aa’ina Dekhay Gha K Tanha To Nahi Wo
Utray Hain Un Aankhon Main To Ab Tak Nahi Lotay
Kuch Log Samajtay Thay K Gehra To Nahi Wo
Nikli Hoon Usay Tornay Khud Apni Zid’oon Se
Halaan K Samjhti Hoon K Sheesha To Nahi Wo
Kiya Us Se Chhupaa’oon K Nahi Gair B Itna
Kiya Us Ko Bata’oon Mera Apna To Nahi Wo
No comments:
Post a Comment