koi khwaab dasht-e-firaq main sare-e-sham chehra kusha huwa
meri chashm-e-tar main rukha nahi kay tha rutjagaoo ka dasa huwa
mery dil ko rakhta hai shadmaa’n, mery hont rakhta hai gulfasha’n
wohi ek lafz jo ap nay mery kaan main hai kaha huwa
hai nigah main meri aj tak woh nigah koi jhuki huwi
woh jo dehan tha kisi dehan main, wohi aj bhi hai laga huwa
meray rut jagaoo kay fashar main, meri khwahisho kay gubar main
wohi aik wada gulab sa sar-e-nakhal jaan hai khila huwa
teri chashm-e-khush ki pinah main kisi khwab zar ki rah main
mery gham ka chand tahar gya kay tha raat bhar ka thaka huwa
hai ye mukhtasir rah-e-ishq par, nahi ap hum rahay humsafar
to kis liye ye mubahisa, kaha! kon! kasay! juda huwa
kisi dil kusha si pukar say usi ek bad-e-bahar say
kahi barg barg namu mili, kahi zakhm zakhm hara huwa
tery shahr-e-adal say aj kya sabhi dard mand chalay gaye!
nahi kaghzi koi perhan, nahi hath koi utha huwa!
No comments:
Post a Comment