sabhi kuch hai teRaa diyaa huaa sabhi raahateiN sabhi kalfateiN
kabhi sohabateiN kabhi furqateiN kabhi duuriyaa’N kabhi qurbateiN

ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye haiN sab varaq teri yaad ke
ko_ii lamhaa subah-e-visaal kaa, ka_ii shaam-e-hijR ki qurbateiN

jo tumhaarii maan leiN naasihaa to rahegaa daaman-e-dil meiN kyaa
na kisii uduu kii adaavateiN na kisi sanam kii muravvateiN

chalo aao tum ko dikhaaye.N ham jo bachaa hai maqtal -e-shahar meiN
ye mazaar ahal-e-safaa ke haiN ye haiN ahal-e-sidq kii turbateiN

merii jaan aaj kaa Gam na kaR ke naa jaane kaatib-e-vaqt ne
kisi apne kal meiN bhi bhuul kaR kahiN likh rakhii ho masarrateiN

No comments:
Post a Comment