Thursday, 11 September 2014

kuch barg-e-zard hi reh gaey

Merey be-khabar
merey roz-o-shab k naseeb meiN
terey baa’d dard hi reh gaey
merii chaahtoN ki ameen jheel k paaniyoN pe


Kanwal ka aik bhi phool kab sey khila nahiN
kisi raaj-huns ney……
chaahatoN ki koi kahaani raQam na ki
kisi door-deis sey panchhiyoN ka


MohabbatoN bhara Qaafla na utar saka
kai abr lamhey guzar gaey
Meri pyaas pyaas hi reh gai
kisi uRtey Punchi k geet meiN


teri waapsi ki naveed ho
meri aas aas hi reh gai
teri qurbatoN ki tamaazteiN meiN na chuh saki
Merey haath sard hi reh gaey


Chali aesi hijar ki aandhiyaaN
meri shaakh-e-jaaN sey
tumhaarey lams k Phool
saarey hi jhaR gaey


kai mosamouN sey ye haal hey
Meri Shaakh-e-jaaN na hari huwii
aur Phool chunney ki chaah meiN
merey haath meiN teri yaad k
kuch barg-e-zard hi reh gaey….!

No comments:

Post a Comment