Friday 5 September 2014

Mai nay her-chand ghum-e-ishq ko khona chaha

Mai nay her-chand ghum-e-ishq ko khona chaha
ghum-e-ulfat ghum-e-dunya mai samona chaha
wohi afsaanay meri simt rawaa(n) hain ab tak
wohi sholay mairay seenay mai nihaa(n) hain ab tak
wohi bay-sood khalish hay mairay seenay mai hanooz
wohi bay-kaar tamannaein jawaa(n) hain ab tak
wohi gaisu mairi raato(n) pai hain bikhray bikhray
wohi aankhain meri janib nigraa(n) hain ab tak
kasrat-e-ghum bhi mairay ghum ka madawa na huwi
mairay bay-chain khayalon ko sakoo(n) mil na saka
dil nay dunya kay her dard ko apna to liya
muzmahill ruh ko andaz-e-junoo(n) mil na saka
mairay takhaiyyul ka sheraaza berhum hay wohi
mairay bujhtay huway ehsaas ka aalim hay wohi
wohi bay-jaan iraday, wohi bay-rang sawal
wohi bay-rooh kashakash, wohi bay-chain khayal
Aah iss kashmakish-e-subah-o-masa kaa anjaam
mai bhi nakaam, meri sai-e-amal bhi nakaam

No comments:

Post a Comment