Friday 5 September 2014

main aap hi apni talaash main hoon

main aap hi apni talaash main hoon
mairaa koi raah-numa nahin hay
woh kiya dikhaaengay raah mujh ko
jinhain khud apna pata nahin hay
bahut dinon say main sun raha tha
sazaa woh daitay hain her khata ki
mujhay to is ki saza mili hay
keh mairi koi khataa nahin hay
dil aainaa hay tum apni surat
sanvaar lo aur khud hi daikho
jo nuks hoga dikhaai daigaa
yay bayzubaan bolta nahin hay
musarraton ki talaash main hoon
magar yay dil jaantaa nahin hay
agar gham-e-zindagi nahin hay
to zindagi main mazaa nahin hay
yeh unkay mandir, yeh unki masjid
yeh zar-paraston ki sajda-gaahain
agar yeh unkay khuda ka ghar hay
to is main maira khuda nahin hay

No comments:

Post a Comment