Thursday, 4 September 2014

Main Kyon Na Tarq-E-Taluq Ki Ibteda Karta

Main Kyon Na Tarq-E-Taluq Ki Ibteda Karta, 
Wo Door Des Ka Baasi Tha Kya Wafa Karta,

Wo Mere Zabt Ka Andaza Karne Aaya Tha, 
Main Hans Ke Zakhm Na Khata To Aur Kya Karta,

Hazar Aaina Khano Mein Bhi Na Paa Saka, 
Wo Aaina Jo Mujhe Khudse Aashna Karta,

Dar-E-Qafas Pe Qayamat Ka Habs Tha Warna, 
Saba Se Zikr Tera Main Bhi Sun Liya Karta,

Meri Zameen Tu Agar Mujhko Raas Aa Jaati, 
Main Rifaton Mein Tujhe Aasman Sa Karta,

No comments:

Post a Comment