meri judaiyon se wo mil kar nahin gaya
usske bagaiir main bhi koi marr nahin gaya
duniya mein ghoom phir ke bhi aise laga mujhe
jaise main apnii zaat se baahar nahin gaya
kya khuub hain hamari taraqqi-pasandiyan
ziine[stairs] banaa liye koi upar nahin gaya
jugraaphiye ne kaat diye raaste mere
taarikh ko gila hai ke main ghar nahin gaya
aisi koi ajeeb imaarat thi zindagi
baahar se jhaankta raha andar nahin gaya
sab apne hi badan pe ‘muzaffar’ saja liye
vapas kisi taraf koi patthar nahin gaya
No comments:
Post a Comment