Thursday, 25 September 2014

mery dil ki simat na dekh tu kisi aur ka ye muqaam hai

main samandroo ka mazaj ho, abhi is nadi ko pata nahi
sabhi nadiya-n mujh say milie-n magar main kisi say jakay mila nahi

mery dil ki simat na dekh tu kisi aur ka ye muqaam hai
yaha is ki yadaiN muqeem hain, ye kisi ko mane diya nahi

mujhay dekh kay na jhuka nazar, na kawar dil kay tu bund kar
teray ghar main aoo ga kis tarha kay main admi ho hawa nahi

mery dil ko khushbo say bhar gya, woh kareeb say yo guzar gya
woh meri nazar main to phool hai isay kya laga maiN pata nahi

meri umar bhar ki thakawatain to palak jhapaktay utar gaye
mujhay itnay pyar say aj tak kisi dosry nay chuu’a nahi

ye muqadaroo-n ki likhawatain jo chamak gaye woh parhi gaye
jo mery qalm say likha gya isay kyu kisi nay parha nahi

ye “badar” ab bhi sawal hai ye bayrukhi hai kay pyar hai
kabhi pass is kay gya nahi kabhi door is say raha nahi



No comments:

Post a Comment