Thursday, 4 September 2014

muhabbat main kabhi dau raye ka imkaan nahin hota

muhabbat main kabhi dau raye ka imkaan nahin hota 
ye hoti hai tau hoti hai 
nahin hoti tau jitna bhi jatan kar lau nahin hoti
koi acha agar lag jaye tau sub khamiaan us ki 
achanak  khoobiyon ki aurhni main chup si jati hain 
zamana lakh samjhaye, sambhal jao 
wo aisa hai, wo waisa hai 
samajh main kuch nahin aata 
sama’at aur basarat ko sujhai kuch nahin deta 
samajh aata hai us lamhay 
ke jab daman main lakhon chaid ho jayen 
kabootar ke paroon ke saath liptay sub ayaan jab bhaid ho jayen
muhabbat main kabhi dau raye ka imkaan nahin hota 
ye hoti hai tau hoti hai 
nahin hoti tau jitna bhi jatan kar lau nahin hoti

No comments:

Post a Comment