Thursday 4 September 2014

MUHAMMAD MUSTAFA mehboob-e-daawar sarwar-e-aalam

MUHAMMAD MUSTAFA, mehboob-e-daawar, sarwar-e-aalam
wo, jis k dam sy masjood-e-malayak, ban gya aadam

kia saajid ko shayda, jis ne masjood-e-haqeeqi par
jhukaya abd ko dargaah-e-mabood-e-haqeeqi par

dilaey haq parasto’N ko, haqooq-e-zindagi jis ne
kia baatil ko gharq-e-moja-e-sharmindgi jis ne

ghulamo’N ko sareer-e-saltanat par jis ne bithlaya
yateemo’N k saro’N par kar dia iqbal ka saya

gadao’N ko shehanshahi k qaabil kar dia jis ne
gharoor-e-nasl ka afsoon, baatil kar dia jis ne

wo jis ne takhat ondhy kar diay shaahan-e-jaabir k
barhaey martaby dunia mein har insaan-e-saabir k

wo jis ka zikr hota hy, zameeno’N aasmano’N mein
farishto’N ke duao’N mein, moazzan ke azano’N mein

wo jis k moajzy ne, nazm-e-hasti ko sanwara hy
jo be yaro’N ka yara, be saharo’N ka sahara hy

wo noor-e-lam yazal, jo baais-e-takhleeq-e-aalam hy
khuda k baad jis ka ism-e-azam, ism-e-azam hy

sana khwan jis ka quraa’N hy, sana hy jis ke quraa’N mein
usi par mera eema’N hy, wohi hy mery eema’N mein

No comments:

Post a Comment