Sunday 7 September 2014

na hi manzil mili na koi aashna

na hi manzil mili , na koi aashna,
main bhatakti rahi, safr jaari raha

umar-e-chand roz ka lamha lahma
yahan main ne tanha saha garchay bhari raha

yeh muqaddar ke madd-o-jazar kiya kahoon?
ke main shahsdar rahi, kuch bhi keh na saki

woh mujhe daikh kar ajnabi ban gaya
jo merey rastoN ka pujari raha

mujh say pucho nahin tum Khuda ke liye,
main nahin janti muskurahat hai kia

ke main jabtak rahi to mere dais main
aalam-e-wehshat-o-sog taari raha

na koi aarzoo hai na shikwa gila, yeh
bhi acha huwa mera dil bujh gaya

warna jab tak raha yeh mere wastay
mustaqil wajha-e-bayqaraari raha

aisa kiyoonkar huwa…sochti hi rahi,
main dukhon ke qafas main umar bhar rahi

main kisay dosh doon ke meri raah main…
mera apna muqaddar shikaari raha

woh mila to bhi ankhon ko aansoo milay,
na mila to bhi hontoN pe aahain raheeN

woh ajab shakhs tha ke har ik haal main
wajha-e-bay sabab sogwaari raha

No comments:

Post a Comment