o-bewafa aa sun zara meri rooh par guzaree’n jo qaya’amtain
mera dil dukha to bohat magar meray lub pay ab bhi gila nahi
tera bus na tha to kyu mujhay naye mousamoo’n ki naveed di
tu mujhay paeshgi mai jo day gya woh phool ab tak khila nahi
thi jin mousamoo’n mai teri wapsi mai ab bhi ho unka muntazir
par woh fasl-e-gul kaha rah gaye mujhay ab to kuch bhi pata nahi
tera raaz jo mujh pay na khul saka mujhay dosroo’n say pata chala
teray ehd-o-pemaa’n mai bharay huway kisi lafz mai bhi wafa nahi
teray dostoo’n mai tera bharm rahay yehi soch kay mai chup raha
jo nigah mai tha woh chupa liya jo dil mai tha kisi say kaha nahi
No comments:
Post a Comment