Wednesday 10 September 2014

Parey haoy they jo jisim-o-jaan par

Rafaqatoun nay diay hain mujh ko adawatoun kay, ataab sarey
Merey hi dil par hoay hain nazil, mohabbatoun kay azaab sarey

Khushi ki mehfil na raas aae, hazar chaha kay muskurain
Tapish say ghum ki jhulas gaey hain, shaguftagee ka gulab sarey

Yahi hay tadber-e-husn-e-gulshan, eywaz guloun key miley hain kantey
Ajeeb qismat ka hay karishma, gunha baney hain sawab sarey

Gharor say sar utha rahay they, wo jushan-e-hasti mana rahay they
Hawa nay kheencha jab apna daman hawa hoay phir habaab sarey

Wo khushboon ka libaas pehney, mila kuch aisay kay aik pal main
Parey haoy they jo jisim-o-jaan par, uttar gaey wo naqaab sarey

Sawal sada sa zindagi say, kiya tha hum nay bhi aik SARWAT
Wo pathron ki hoi hay barish kay mil gaey hain jawab sarey

No comments:

Post a Comment