puuchhte ho to suno kaise basar hotii hai
raat Khairaat kii sadqe kii sahar hotii hai
saaNs bhrane ko to jiinaa nahiiN kahte yaa rab
dil hii dukhtaa hai na ab aastiiN tar hotii hai
jaise jaagii hu’ii aaNkhoN meN chubheN kaaNch ke Khvaab
raat is tarah diivaanoN kii basar hotii hai
Gham hii dushman hai meraa Gham hii ko dil DhuuNDhataa hai
ek lamhe kii judaa’ii bhii agar hotii hai
ek markaz kii talaash ek bhaTakatii Khushbuu
kabhii manzil kabhii tamhiid-e-safar hotii hai
No comments:
Post a Comment