Raat ke by sakoo’N khamoshi mein
Ro raha hn, keh so nahe sakta
Raahto’N k mehal banata hy
Dil, jo abaad ho nahe sakta
Door, sham-e-khayal ke maanand
Shama vaadi ke jhilmilati hy
Yaas k be karaa’N andhery mein
Aik umeed…… muskurati hy
Door parbat k pass charwaha
Kho gya gham fiza tarano’N mein
Bain krti hy rooh-e-zakhm aalood
Baansuri ke naheef taano’N mein
Tery jany ka gham bhulata hn
Tery aany ke yaaad aati hy
Haey, is be basi k aalam mein
Kis zamany ke yaad aati hy
Shab ko veeran raah guzaro’N se
Sar jhukaey huay guzarta hn
Qehqaho’N mein qaraar khoya tha
Aansuo’N mein talash krta hn
Saif-ud-Din Saif from Khum-e-Kaakul
No comments:
Post a Comment