Friday 5 September 2014

Shaam-e-afsurda say keh do qareeb aa jaye

Phir say kajlaaey huay shaam-e-shab-e-afsurda
Apnay hathon main liye gul shuda shum’on ki qataar
Apnay daman main samaitay huay sadiyon ka ghubar
Apni palkon pe liye khaak-e-deh-e-lail-o-nahar
Meray ujray huay aangan main utar aai hai
Baal bikhraaey huay shaam-e-shab-e-afsurda
Tun pay orhay huay be-rubt khayalon ka dhuwan
Zard aankhon main samaitay huay faryaad-o-fughan
Misl-e-majrooh laban, soorat-e-ashufta saraan
Maangnay aai hai madfoon maah-o-saal ki yaad
Jin ki taqdeer na shohrat thi, na ruswai hai
Aaj ki baat nahin, aaj say pehlay bhi yunhi
Aatay jaatay huay lamhon kay bikhartay purzay
Jub hawa burd huay dil pe qayamat tooti
Aankh main toot ker chubhtay rahay aik umr kay khwab
Shaam-e-afsurda ko dena para lamhon ka hisab
Apna hasil to wohi roz ki tanhai hai !!!
Aaj kuch aur hi aalam hai pas-e-qarya-e-jaan
Aaj kuch aur hi manzar hai sar-e-satha-e-amaan
Aaj mehraab-e-dil-o-jaan main koi aks nahin
Hud-e-imkaan pe sarabon ka safar khatam hua
Aaj khakistar-e-umeed ki teh yakh basta
Sheher-e-afsos ki her rawish weeran hai
Toot’tay khwab, na madfoon maah-o-saal ki yaad
Dil main roshan koi chehra, na khud-o-khaal ki yaad
Aankh main phailtay jatay hain qaza kay saaey
Shaam-e-afsurda say keh do qareeb aa jaye
Apnay askhon ki madaraat rahay na rahay
Lab pay harf-e-manajaat rahay na rahay
Aaj kay baad mulaqaat rahay na rahay
Khatam honay ko hai takraar-e-lab-e-afsurda
Is say pehlay keh dhalay shaam-e-afsurda
Shaam-e-afsurda say keh do qareeb aa jaye

No comments:

Post a Comment