silsilay tor gaya woh sabhi jate jate
werna itnay to marasim they ke atey jate
shikwaah’e zulmaat’e shab se to kaheen behtar tha
apne hissay ki koi shamaa jalate jate
kitna asaan tha tere hijr main marna janaaN
phir bhi aik umr lagi jaan se jate jate
jashan maqtal hi na barpa hua werna hum bhi
pa’bajoolaN hi sahi, nachte gate jate
us ki woh janay usay paas’e wafa tha ke na tha
tum “Faraz” apni taraf se to nibhate jate..!!
No comments:
Post a Comment