sulag raha hoon mein dheery dheery,
magar kisi par ayaa’N nahe hy
wo aag dil mein lagi hy jis mein,
tapish hy lukin dhooa’N nahe hy
tumhary gham ne sikha dia hy,
mujhy har ik gham se payar karna
gham-e-jaha’N bhi, yaqeen jano,
mizaaj-e-dil par garaa’N nahe hy
khuda ke basti mein har kadam par,
koi hy giryaa’N kisi k gham par
yeh dard to dard-e-mushtarak hy,
yeh aankh pur namm kaha’N nahe hy
matta-e-umr-e-aziz sari ganwa
chuky par safar hy jari
ajeeb souda hy aashqi ka,
keh fikr-e-sood-o-ziyaa’N nahe hy
meri khamoshi pe hansny walo,
yeh bhool kar bhi na soch lena
keh mery pehloo mein dil nahe hy,
keh mery munh mein zubaa’N nahe hy
ghazal kaho AITBAAR SAJID,
isi tarapti hue navaa mein
yeh tarz, yeh dil gudaaz lehja,
samaa’to’N par garaa’N nahe hy
No comments:
Post a Comment