Thursday, 11 September 2014

teray tabsray hain bekhabar meri dastan-e-hayaat say

teray tabsray hain bekhabar meri dastan-e-hayaat say
tu keh raha hai dil jisay meri khawahishoo’n ka mizaar hai

tera shukria aye tabbeb-e-jaan, ye khaloos apni jaga magar
teri masehaye bhi kya karay mera dard hi beshumar hai

meray rastoo’n jo agya meray kafiloo’n ko jo kha gya
woh toofa’n to kub ka guzar gya magar dil mai ab tak gubaar hai

aye mehrbaa’n dost sun meri mushkiloo’n ko samjh kay mai
teri mohabatoo’n ka kya karo kisay dil pay ab ikhtyaar hai!

naye mousamoo’n ko bulaoo mut kay mujhay khushbu’aon ki talab nahi
meri rah rehnay dou khar khaar kay meray liye to yehi bahar hai

jo nafratoo’n say julas gya usay dil say saray dua’ain dou
par us sitam zada ka kya karay jo muhabatoo’n ka shikaar hai!

No comments:

Post a Comment