Monday, 8 September 2014

tujhay kai khabar meray be-khabar mera silsla koi aur hai

tujhay kai khabar meray be-khabar mera silsla koi aur hai
jo mujhi ko muj se baham karay wo garaiz-e-pa koi aur hai

meray moasmoon k bhi toar they meray barg-o-baar he aur they
magar ab ravish hai alag koi magar ab hawa koi aur hai

yehi shehar shehar-e-qarar hai tu dil-e-shikasta ki kher ho
meri aa’s hai kisi aur se mujhay pochta koi aur hai

hain muhabatoon ki aamantain yehi hijratain yehi qurbatain
dee’ay baam-o-dar kis aur ne tu raha basaa koi aur hai

ye fiza k rang khulay khulay isi paish-o-pus k hain silsalay
abhi khush nawa koi aur tha abhi pur kusha koi aur hai

dil-e-zood-o-ranj na kar gila kisi garam -o-sard raqeeb ka
rukh-e-na saza tuu hai roo baroo paas-e-na saza koi aur hai

No comments:

Post a Comment