Tum Aisa Karna Keh Koi Jugnoo
Koi Sitara Sambhaal Rakhna
Mere Andhero’n Ki Fikar Choro
Bas Apne Ghar Ka Khayal Rakhna
Ujaar Mosam Mein Rait Dharti Pe
Fasal Boi Thi Chaandni Ki
Ab Is Mein Ugnay Lagay Andhere
To Kaisa Jee Mein Malaal Rakhna
Diyaar-e-Ulfat Mein Ajnabi Ko
Safar hai Darpesh Zulmato’n ka
Kahi’n Woh Raahon Mein Kho
Na Jaaye Zara Darechay Ujaal Rakhna
Wo Rasm-o-Raah He Nahi’n Rahe
Jab To Naamay Kis Kaam Ke Tumhare
Udhar Se Guzraa Kabhi To LooN
Ga Mere Khato’N Ko Nikaal Rakhna
Bicharne Wale Ne Waqt-e-Rukhsat
Kuch Is Nazar Se Palat Ke Dekha
Keh Jaise Woh Bhi Yeh Keh Raha Ho
Tum Apne Ghar Ka Khayal Rakhna
Yeh Dhoop Chaao’n Ka Khel Hai
Ya Khizaa’n Bahaaro’n Ki Ghaat Mein Hai
Naseeb-e-Subh Ujrooj Ho To Nazar
Mein Shaam-e-Zawaal Rakhna
Kisay Khabar Thi Keh Kab Ye Mosam
Uraa Ke Rakh De Ga Khaak "Aazar"
Tum Ehtiyatan Zamee’n Ke Sar Pe
Falak Ki Chaadar Bhi Daal Rakhna
No comments:
Post a Comment