Dareecha Hay Dhanak Ka
Aur Badal Ki Aik Chilman Hay
Aur Uss Chilman k Peechay
Chup k Baithy Kuch Sitaray Hain
Aur Badal Ki Aik Chilman Hay
Aur Uss Chilman k Peechay
Chup k Baithy Kuch Sitaray Hain
Sitaron Ki Nigahon Mein Ajab Si Aik Uljhan Hay
Vo Hum Ko Dekhty Hain Aur Apas Mein Yeh Kehty Hain
Yeh Manzar Aasman Ka Tha Zameen Par Kis Tarah Aya
Zameen Zaadon Ki Qismat Mein Yeh Jannat KisTarah Ayi
Vo Hum Ko Dekhty Hain Aur Apas Mein Yeh Kehty Hain
Yeh Manzar Aasman Ka Tha Zameen Par Kis Tarah Aya
Zameen Zaadon Ki Qismat Mein Yeh Jannat KisTarah Ayi
Jo Lafzon Mein Isay Likhein Kitaabein JagMaga Uthein
Jo Sochein Iss k Barey Mein To Roohein GunGuna Uthein
Yeh Tum Ho Mery Pehloo Mein
K …..
Jo Sochein Iss k Barey Mein To Roohein GunGuna Uthein
Yeh Tum Ho Mery Pehloo Mein
K …..
Khuwab-e-Zindgni Tabeer Ki Surat Mein Aya Hay
Yeh Khiltay Phool Sa Chehra
Jo Apni Muskurahat Mein Lahoo Mein Taazgi Bhar De
Sukhan Ki Jagmahat Se Shagoofay Phootety Jayein
Yeh Khiltay Phool Sa Chehra
Jo Apni Muskurahat Mein Lahoo Mein Taazgi Bhar De
Sukhan Ki Jagmahat Se Shagoofay Phootety Jayein
Chupa kajal Bhari aankhon Mein Koi Raaz Gehra Hay
Bohat Nazdeek Se Dekhon To Manzar Phail Jata Hay
So Mery Chaar Soo Jo Jheel Si Aankhon Ka Pehra Hay
Tumhein Main Kis Tarah Dekhon…!!!
Bohat Nazdeek Se Dekhon To Manzar Phail Jata Hay
So Mery Chaar Soo Jo Jheel Si Aankhon Ka Pehra Hay
Tumhein Main Kis Tarah Dekhon…!!!
No comments:
Post a Comment