Nigaah E Shoq Se Hum Ne Tumhien Eik Baar Dekha Tha
Koii Jazba Tha Pehli Baar Jisey Be-Daar Dekha Tha
Bara Sasta Zamana Hai Yhahan Ab Log Biktey Hain
Tera Soda Bhi Hum Ne Kal Sar-E-Bazaar Dekha Tha
Wo Jis K Hont Par Har Dum Sajii Muskaan Rehti Thi
Na Jaaney Kyon Usey Main Ne Bara Bezaar Dekha Tha
Roz O Shab Badalney Main Bhala Kya Dair Lagti Hai
Jo Takht O Taaj Rakhtey They Unhien La-Chaar Dekha Tha
Hum Apney Dost Dushman Ki Khabar Jo Rakh Nahi Paa’ye
Usi Ne Waar Kar Dala Jisey Gham-Khwaar Dekha Tha
Tum Apni Be-Wafaii Par Agar Naadim Nahi Ho To
Aankhon Ko Tumhaari Phir Kyon Zaiy-Re-Baar Dekha Tha
No comments:
Post a Comment