Sunday 7 September 2014

Ussey meiN saans kehti thi

Ussey meiN saans kehti thi
magar saanseiN humesha sey mujhey mushkil hi lagti hein
ussey meiN Zindagi kah kar bulaati thi
magar ye zindagi kuch ba-wafa hoti tou wuh bhi phir wafa karta
ussey Dil bhi kaha meiN ney
magar ye Dil zara sii Theis paa kar apni hasti bhool jaata hey
ussey Ehsaas ki Khushbu bhi likha tha
magar Khushbu ka koi ghar …..nahi hota
ussey meiN deep kahti thi
magar Zaalim hawaa sey dosti meri kahaaN mumkin
ussey meiN ney Sitaara bhi kahaa ik Shab
magar aankhoN meiN koi aasmaaN hota tou wuh in meiN utarta bhi
ussey ik din kahaa meiN ney………suno tum Chaand jaesey ho
magar meiN khud ko saagir………….. kis tarah karti?
ussey meiN ney kahaa baadal
magar Sehra ki qismat meiN kabhi baarish nahi hoti
ussey meiN ney maseeha bhi tou jaana thaa
magar zakhmoN ki had hoti…..tou wuh darmaaN koi karta
ussey meiN ney kaha suraj
magar meiN moum thii…uski tamazat kis tarah sehti
ussey meiN ney Dua kah kar pukaara tha
magar meri duaaoN ko, dar-e-maqbool tak janey ka rasta hi nahi aata
phir ik din jaaney kaesey…….?
dard mosam likh diyaa ussko
issi mosam sey ab mera
ta’aluQ Umr bhar ka hey
wafaa ki har kasoTi par….ussey iss Dil ney parkha hey

No comments:

Post a Comment