Wednesday 10 September 2014

wo chahta tha phir bhi koi guftago na ki

wo chahta tha phir bhi koi guftago na ki
hum nay bhi poochnay Ki kabi justujoo na ki
tasveer teri dekh kar ankheein chalak pareiN
hum nay teri ibadaat kabhi bay-wuzu na ki
baithay rahay chup chap hum parda nasheeN k paas
Musa ki tar’haN dekhnay ki arzoo na ki
wo hai nasha-e-ishq ki lazat say bay khabar
jis nay ye zindagi kabhi nazar-e-sobo na ki
karta raha baiy’aaN wo gaiy’rooN k sa’manay
us nay kabhi she’kayat merey ruu-ba-ruu na ki
kyuN dil meiN chupa’ey rakhay haiN num nay raaz-e-Ishq
ahel-e-Janoon ki baat kabhi koo-ba-koo na ki

No comments:

Post a Comment