Thursday 4 September 2014

wo hamsafar tha

woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi 
keh dhoop cHayoN ka alam raha,judaai na thi 

na apna ranj na auroN ka dukh,na tera malal 
sHab`e firaq kabhi hum nay yuN ganwayi na thi 

mohabbatoN ka safar is tarha bhi guzra tha 
sHikasta dil thay musaafir sHikasta paayi na thi 

adawateiN thiN,tagHaful tha,ranjisHeiN thiN magar
bicHaRhnay walay maiN sab kucH tha,bewafaayi na thi 

bicHaRhtay waqt un aankhoN maiN thi humari gHazal 
gHazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi 

kabhi yeh haal keh donoN maiN yakdili thi bohat 
kabhi yeh marhala jaisay keh asHnayi na thi 

ajeeb hoti hay rah`e sukHan bhi dekh Naseer 
wahaN bhi aa gaye akHir jahaN rasayi na thi

No comments:

Post a Comment