wuh jis ko jazboN ki har Laher nay,
theheR kay poocha kahaN nahiN hay
tou shehr-e-aqL kay baasioN ko,
yeh kyuN yaQeeN hay yahaN nahiN hay
tumhi ko dekha, tumhi ko socha,
tumhi ko chaaha, tumhaiN na payaa
muhabatoN kay Hazaar rastay,
koii bhii manziL jahaN nahiN hay
yeh kya ke tum nay kisi say puuchi,
humaray diL ki wuh sab kahani
keh jiss ka meh-ram siwa tumharay,
koi bhi humdam yahaN nahiN hay
hamaare dil ki in dharkanoN say,
kaho ke chup yeh rahaiN Khudara
yahaN pay gooNji haiN furqataiN hi,
milan ka naghma yahaN nahiN hay
ek umr guzri ke zard Rou hay,
hamaray jazboN ka garm jungal
khizaaN ka mausam hay kaesa mausam,
keh jiss pay ab tak khizaN nahiN hay
mohabatoN meiN yaqeeN ki hud say
guzar kay ab maiN wahaN khaRi huuN
jahaN tumhaaray kisi qadam pay,
jafa ka hargiz gumaN nahiN hay
No comments:
Post a Comment