Monday, 8 September 2014

Yeh sheeshay yeh sapnay yeh rishtay yeh dhagay

Yeh sheeshay yeh sapnay, yeh rishtay yeh dhagay 
Kisay kiya khabar hei kahan toot jaaein 
Mohabbat kay dariya mein tinkey wafa key 
Najaney yeh kis mor par doob jaaein 


Ajab dil ki waadi ajab dil ki basti 
har ik mor mousam nayee khawahishon ka 
lagaye hein hum ne bhi sapnon ke poday 
magar kiya bharosa yahan baarishon ka 


muradon ki manzil key sapnon mein khoyay 
mohabbat ki raahon peh hum chal pare thay 
zara door chal kar jab aankhein khuli to 
karee dhoop mein hum akalay kharey thay 


Jinhein dil sey chaha, jinhein dil sey pooja 
Nazar aa rahey hein wohi ajnabee say 
Rawayat hei shayad yeh sadiyon purani 
shikayat nahin hei koi zindagi say 


Yeh sheeshay yeh sapnay, yeh rishtay yeh dhagay 
Kisay kiya khabar hai kahan toot jaaein.

No comments:

Post a Comment