Thursday, 11 September 2014

ZameeN aur aasmaaN k darmiyaaN phaeley manazir meiN

ZameeN aur aasmaaN k darmiyaaN phaeley manazir meiN
buhat aahistagi sey jab koi khushbu bikhartii hey


tou aankhoN meiN sitaaroN ka ajab melaa saa lagta hey
hawaa sar-goshiyaaN pehney dareechoN sey guzarti hey


koi khushbu bikharti hey
darakhtoN sey judaa hotey be-khaanumaaN pattey


safar kaa aaghaaz kartey heiN
tou sapnoN par haqeeqat ka koi par tau saa paRta hey


sabaa qos-e-qaza kii raah meiN zeeney banaati hey
aur ik be-naam sii aahaT dabey paaoN utarti hey


koii khsuhbu bikharti hey
neyaa mosam puraaney raastoN ki dhoohl sey


chehra uTthaata hey
tou shbanam kaasa’e Gul meiN kai sikey giraati hey


zameeN pehloo badalti hey
koii khushbu bikharti hey


buhat aahistagi sey phir terii khushbu bikharti hey

No comments:

Post a Comment